People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 2 *

Nahi Chahiye Rang Mahal
Music: Bappi Lahiri
Lyricist: Bharat Vyas
Tag: hindi
Audio:
Video:
Nahin chahiye rang mahal
Na dhan daulat ki shaan
Hum to mange tujhse malik
Ek santosh ka daan
Ki ghar ghar mein khushali ho
Sada sukh ki haryali ho

Nahin chahiye rang mahal
Na dhan daulat ki shan
Hum to mange tujhse malik
Ek santosh ka daan



Tune humko janam diya hai
Tu hi palanhar
Teri daya se phule phale
Hum sab ka ghar sansar
Tune humko janam diya hai
Tu hi palanhar
Teri daya se phule phale
Hum sab ka ghar sansar
Nahin chahiye hire moti
Nahin chahiye hire moti
Na ratano ke haar
Hum to mange tujhse malik
Ek santosh ka daan

Sukh ke badale dukh dene ki
Ager bhawana teri
Dukh ko sahne ki sakti de
Yahi parathana meri
Sukh ke badale dukh dene ki
Ager bhawana teri
Dukh ko sahne ki sakti de
Yahi parathana meri
Kisi ke age hath na failaye
Apni mahnat ka sukh paye
Itna de wardan
Hum to mange tujhse malik
Ek santosh ka daan
Ki ghar ghar mein khushali ho
Sada sukh ki haryali ho

Nahin chahiye rang mahal
Na dhan daulat ki shaan
Hum to mange tujhse malik
Ek santosh ka daan.
One Rupee Tenn Rupees
Music: Bappi Lahiri
Lyricist: Indeevar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Haisiyat/One-Rupee-Ten-Rupees
om bhakti rupi
shakti rupi, mukti rupi
one rupee, ten rupee
hunderd rupee, thousand rupee
om shanti om shanti
om shanti shanti shanti

ho jiske pass hai daulat uski jahan me ijjat
uske liye pasina uske liye mohabbat
ha jiske pass hai daulat uski jahan me ijjat
uske liye pasina uske liye mohabbat
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki
ho jiske pass hai daulat uski jahan me ijjat
uske liye pasina uske liye mohabbat
hey jiske pass hai daulat uski jahan me ijjat
uske liye pasina uske liye mohabbat
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki

vishnu bhagwan ko bhi to lakshmi lagti hai pyari
dhanwano ke kadmo par jhukti hai duniya sari
daulat wala kahe to jannat ka dwar khulega
chahe dhanwan agar to aake bhagwan milega
daulat wala kahe to jannat ka dwar khulega
chahe dhanwan agar to aake bhagwan milega
abhimaan me tum daulat ke
insaan ko yu na girao, daulat ki puja kar ke
bhagwan ko yu na girao, abhimaan me tum daulat ke
insaan ko yu na girao, daulat ki puja kar ke
bhagwan ko yu na girao, o kahte hai jisko mehnat
naam usi ka kismat
taaj aur hai janta mehnat ki hi murat
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki

o kahte hai jisko mehnat
naam usi ka kismat
taaj aur hai janta mehnat ki hi murat
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki

bhakti rupi, shakti rupi
mukti rupi, one rupee
ten rupee, hunderd rupee
thousand rupee
shanti shanti shanti

nirdhan seva ke liye hai
seva hi karte rahenge
ha dhanwano ki chaukhat par
maatha hi ragadte hi rahenge
pee pee kar khum humara
daulat wale akade hai
mehnat ki buniyado par
daulat ke mahal khade hai
pee pee kar khum humara
daulat wale akade hai
mehnat ki buniyado par
daulat ke mahal khade hai
sare kal karkhane dhanwano ne banaye
agar dhanwan na ho
kaun roti khilaye
sare kal karkhane dhanwano ne banaye
agar dhanwan na ho
kaun roti khilaye
kaha se aayegi roti
hum jo hal na chalaye
kaha se aayenge kapde
hum jo mil na chalaye
daulat wale khate hai
mehnat walo ki kamai
humne dhanwan banaye
humko hi aankh dikhai
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki

kahte hai jisko mehnat
naam usi ka kismat
taaj aur hai janta mehnat ki hi murat
jiske pass hai daulat uski jahan me ijjat
uske liye pasina uske liye mohabbat
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki
duniya daulat walo ki
ye duniya daulat walo ki
duniya mehnat walo ki
ye duniya mehnat walo ki